Taqleed Kise Kehte Hai* *Taqleed sirf ikhtalifi masail main hoti he gair muqleed bhi hadees me taqleed karte he warna un ko khud tahqeeq karni chaiye hadees nakal karne walo ne sahi hadees nakal ki he ya nahi agar is ko izma ummat samjhte he to taqleed bhi izma ummat he

 Taqleed Kise Kehte Hai* *Taqleed sirf ikhtalifi masail main hoti he gair muqleed bhi hadees me taqleed karte he warna un ko khud tahqeeq karni chaiye hadees nakal karne walo ne sahi hadees nakal ki he ya nahi agar is ko izma ummat samjhte he to taqleed bhi izma ummat he

Imaam Gazaali Rahmatullah Alaih Ne Apni Kitaab *Al-Mustafsa, Jild No. 2, Page No. 387* Me Likha Hai Ke

"Kisi Ke Qaul Ko Bina Hujjat Bina Daleel Ke Qabool Karlena"

 *Sureh Fatiha Aayat No 5 & 6.* 

Tarjuma - "Humko Seedha Raasta Chala, Raasta Unka Jinpar Tune Ahsaan Kiya"

 *Sureh Nisa Aayat No.69.* 

Tarjuma - "Aur Jo Allah Aur Uske Rasool Ka Hukm Maane To Use Unka Saath Milega Jinpar Allah Ne Fazl Kiya, Ya'ani Ambiya Aur Siddiq Aur Shaheed Aur Nek Log, Yeh Kya Hi Achche Saathi Hai"

 *Sureh Luqmaan Aayat No.15.* 

Tarjuma - "Aur Uski Raah Chal Jo Meri Taraf Ruju Laaya"

 *Sureh Nisa Ayat No.59.* 

Tarjuma - "Allah Ki Ita'at Karo Aur Rasool Ki Ita'at Karo Aur Unki Jo Tum Me Se Hukumat (Ilm) Waale Hai"

 *Al-Mustadrak Alas Sahihain, Imaam Haakim, Jild No.1, Safha No.199, Hadees No.422.* 

Tarjuma - "Hazrat Jaabir Bin Abdullah Radiallahu Anhu Kehte Hai Iss Aayat Se Muraad Woh Ulema Hai Jo Ilm e Fiqh Ke Jaanne Waale Hai Aur Bhalaayi Waale Hai" Sahih Hadees.

 *Sunane Daarmi, Jild No.1, Safha No.127,* Baab Ulema Ki Pairwi Karne Karne Ka Bayaan.

Tarjuma - "Hazrate Imaam Ata Ne Kaha Hai Ke Iss Ayat Se Muraad Yeh Hai Ke Ilme Fiqh Ke Jaanne Waale Imam Hai"

 *Sureh Ambiya Aayat No.7.* 

Tarjuma- "Aye Logo! Ilm Waalo Se Poocho Agar Tum Nahi Jaante"

Tafseer e Khaazin Me Hai Ke Iss Aayat Se Muraad Woh Ulema Hai Jo Qur'aan Ka Sabse Zayaada Ilm Rakhte Hai.

 *Sureh Bani Israil, Ayat No.71.* 

Tarjuma - "Yaad Karo Jiss Din Hum Har Jama'at Ko Uske Imaam Ke Saath Bulaayenge"

Tafseer Ruhul Bayaan Me Allaama Ismaail Haqqi Rahmatullah Alaih Farmaate Hai Ke "Qayaamat Ke Din Pukaara Jaayega Aye Hanfio Chale Aao Aye Shaafio Chale Aao"

 *Sunane Daarmi, Jild No.1, Hadees No.170.* 

Tarjuma - "Kitaab Al-Mukaddama Me Hazrate Ma'az Radiallahu Anhu Bayaan Karte Hai Ke "Rasoolullah ﷺ Ne Mujhe Mulke Yaman Governer Banaake Bheja Aur Rasoolullah ﷺ Ne Poocha Ke Aye Ma'az ! Mai Tumhe Qaazi Banaake Bhej Raha Hu Agar Tumhe Koi Masla Pesh Aajaaye To Tum Kaise Hal Karoge To Hazrate Ma'az Radiallahu Anhu Kehte Hai Ke Mai Allah Ki Kitaab Se Faisla Karunga, Rasoolullah ﷺ Ne Farmaaya Ke Agar Woh Hukm Tumhe Qur'aan Me Na Mile To Kya Karoge, Hazrate Ma'az Radiallahu Anhu Ne Farmaaya Ke Mai Aapki Sunnat Se Faisla Karunga, Rasoolullah ﷺ Ne Farmaaya Agar Tumhe Woh Hukm Meri Sunnat Me Na Mile To, Hazrate Ma'az Radiallahu Anhu Ne Farmaaya Ke Phir Mai Apni Raaye Wa Qayaas Se Faisla Karunga, Rasoolullah ﷺ Ne Apna Haath Unke Seene Pe Maara Aur Kaha, Allah Ka Shukr Hai Ke Allah Ne Apne Rasool Ke Qaasid Ko Samajh Boojh Ata Farmaayi.

 *(Sahih Muslim, Jild No.1 Hadees No.124)* *(Imaam Tabraani, Mo'jamul Kabeer, Hadees No.362)* *(Sunane Abu Daawood, Hadees No.3592)* *(Tirmizi Shareef, Hadees No.1327)* *Tirmizi Shareef, Jild No.2, Hadees No.1597,* Kitaabul Manaakib.

Tarjuma- "Hazrate Huzaifa Riwaayat Karte Hai Ke Hum Rasoolullah ﷺ Ke Pass Ek Dafa Baithe Huwe The, Rasoolullah ﷺ Ne Farmaaya Ke Mai Nahi Jaanta Ke Mai Tum Me Kab Tak Maujood Rahunga, Phir Mere Baad Tum Kiski Ita'at Karoge Phir Ishaara Kiya Ke Mere Baad Tum Hazrate Abu Bakar Siddiq Radiallahu Anhu Ki Pairwi Karoge"

 *(Sunane Ibne Maajah, Jild No.1, Hadees No.97)* 

 *(Musnade Ahmed, Jild No.5, Safha No.385)* *(Imaam Abi Shaiba, Al Musannaf, Jild No.7, Hadees No.37049)* *(Imaam Tabraani, Mo'jamul Ausat, Jild No.4, Hadees No.3816)* 

 *Mishkaat Shareef, Jild No.1, Hadees No.157.* 

Tarjuma - "Aye Logo ! Tumpar Meri Pairwi Laazim Hai Aur Khulfa e Rashideen Ki.

 *(Musnad Ahmed, Jild No.4, Hadees No.127)* *(Sunane Abu Daawood, Hadees No.4607)* *(Tirmizi Shareef, Hadees No.2678)* *Mishkaat Shareef, Jild No.3, Hadees No.5762, Kitaabul Fitan.* 

Tarjuma - Hazrate Umar Radiallahu Anhu Se Riwaayat Hai Ke Rasoolullah ﷺ Ne Kaha Ke Maine Allah Se Sawaal Kiya Ke Mere Baad Mere Sahaaba Me Ikhtelaaf Hoga Iska Kya Hukm Hai, Allah Ta'ala Ne Mujh Par Wahi Naazil Ki Ke Aye Muhammad ! Tumhaare Sahaaba Mere Nazdeem Aasmaan Ke Sitaaro Ki Maanind Hai, Unme Se Ba'az Zayaada Ilm Waale Hai, Agar Sahaaba Me Kisi Masle Par Ikhtelaaf Ho Jaaye To Jo Jiss Sahaabi Ki Pairwi Karega Woh Hidaayat Paa Jaayega.

Phir Rasoolullah ﷺ Ne Yeh Bhi Farmaaya Ke Mere Sahaaba Sitaaro Ki Maanind Hai Tu

Comments

Popular posts from this blog

سورہِ صافّات کی آخری 3 آیات جس میں تمام رسولوں پر سلام ہے اس کی فضیلت پر حضور ﷺ نے فرمایا جس نے ہر نماز کے بعد 3 بار پڑھ لئے اجر کا پیمانہ بھر لیا نماز کے بعد رسولوں پر سلام پڑھنا بدعت نہیں ہوتی :-

Hazrat Musa Ka Hajj Karna Aur Huzoor ﷺ Ka dekhna nabi ki intaqal ke baad ki zindagi

حضور ﷺ تو ہزاروں سال پہلے مرنے والے کو بھی دیکھتے ہیں ورنہ آیات میں دیکھنے کے بجائے جاننے کے الفاظ ہوتے